Ay mery dilber, ay mery hum dosh, sada keun nahe datein. Keun akela
chore dea zindagi ky is dasht mein mujhay. Tumharay baghare mery rooh
muztarab hai. Yad tumhare mujhay najanay keun dilldoze kerty hai.
Kea tumhain yad nahe mujh say kea hoa har wada, har wo wada jis mein
tum ny mera saat danay ka iqrar kea tha. Yad ata hai mujhay tumhara wo
mujko manana aur phr tumhara rooth jana, phr peyar say meray balon
mein apnay haton ko pherna. Kahan ho tum, tumhare wo peyar bahrey
battein, tumharee wo peyar bahrey nazrain, jin mein mein doob jaya
kerta tha, ab mujhay boahat yad atey hain. Thumare wo haseen bahain
ab mujhay yad atey hain. Dharkenein machal jatein hain jab yad ata hai
mujhay wo thumara hasna, has ky peyar say mujahy bulana. Yad aty hai ab
mujhay har wo shab jab tum meray bohat pas hoa kerty thein, jab humare
dharkenein aur sansein tak mila kertein thein. Ab yad aty hai ek ek bat
thumare. Ab mujhay keun tanha kerdea, mujhay jkeun akela chore dea is
safar mein zindagi ky? Yad hai tum he nay to kaha tha ky mein thumare
har saans mein bussty hoon, to ab kea hoa, kea wakth badal gaya ya
tumhara peyar kam hogaya. Ay mery humnasheen, mujhay aur na tarpao,
thumare un haseen bahoon ky leay mein aj bhe tarasta hoon. Ao ky ab
dare na kearo, kahin asa na ho ky yeh haseen rattein dhal jein aur yeh
haseen lamhat-e-muhabbat phr wapas na aein, phr kahin asa na ho ky dare
hojaye. Yun lagta hai ky thumare furkat nay wakth ko tham dea hai,
laken ek anjani si ass ab bhe sasakty hai dil mein, lamha lamha mujhay
yun lagta hai ky tum abhe ao ge aur mujhay peyar say apne bahoon mein
samate lo ge, tum mery hom, tum meray paas na sahe, meray pas thumare har
ek yad hai. Thumaray saat guzara howa har ek lamha har ek pal meray pas
yaad ke soorat mein ab bhe moajood hai. Tum he to kathein thein kahein
door janay ko, ao mery jaan ao ky ab mein tumhain sada day raha hoon,
ao kahn door chalein, ao kahin door hum sahil ky kinaray apny duniya
bassein. Ao hum bahoon mein bahain daal ky roo lein. Phr kea khabar ky
humaray naseeb mein yeh bahain phr kab hoon. Ao mery jaan ky hum phr ek
doasray ko jee bhr ky dakh lein, mein tarap raha hoon thumare awaz
sunnay ko. Bus ek bar, bus ek bar mujhay peyar say pukaro, bus ek bar
mujhay apnay seenay say laga lo. In ankhoon mein kaey shabon ka ratjaga
hai, bus ek bar mujhay apney goad mein sula lo. Mein gee gee ky thak
chuka hoon, ab chane ke neend soona chata hoon. Mein toot ky bikhar
chuka hoon, bus ek bar, bus ek bar mujhay apne bahoon mein samate lo,
bus ek bar galay mil ky saray gilhay shikway mita do. Aj bhe mein
thumara ynhe intezar ker raha hoon. Thumaray leay meray peyar ky rahain
sada khuley rahein ge. Jan ana chaho aa jana, mujhay moat talak intezar
rahay ga thumara. Thumaray leay mein aj, is wakth bhe deeda-e-purnam hoon.

BY-

                           ~*~SHAN MEHDI~*~